ye jalwa-gah-e-naz tamashaiyon se hai
ye jalva-gāh-e-nāz tamāshā.iyoñ se hai
raunaq jahāñ kī anjuman-ārā.iyoñ se hai
rote haiñ dil ke zaḳhm to hañstā nahīñ koī
itnā to fā.eda mujhe tanhā.iyoñ se hai
dīvāna-e-hayāt ko ik shaġhl chāhiye
nādāniyoñ se kaam na dānā.iyoñ se hai
qaid-e-bayāñ meñ aa.e jo nā-guftanī na ho
vo rābta ki qalb kī gahrā.iyoñ se hai
nādim nahīñ huuñ dāġh-e-faro-mā.egī pe maiñ
terā bharam bhī merī jabīñ-sā.iyoñ se hai
ye jalwa-gah-e-naz tamashaiyon se hai
raunaq jahan ki anjuman-araiyon se hai
rote hain dil ke zaKHm to hansta nahin koi
itna to faeda mujhe tanhaiyon se hai
diwana-e-hayat ko ek shaghl chahiye
nadaniyon se kaam na danaiyon se hai
qaid-e-bayan mein aae jo na-guftani na ho
wo rabta ki qalb ki gahraiyon se hai
nadim nahin hun dagh-e-faro-maegi pe main
tera bharam bhi meri jabin-saiyon se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.