ye jaur ahl-e-aza par mazid karte rahe
ye jaur ahl-e-azā par mazīd karte rahe
sitam-shi.ār moharram meñ 'iid karte rahe
hamāre dam se rahā daur-e-bāda-paimā.ī
ki apne ḳhuun se ham mai kashīd karte rahe
gila to ye hai ki jitne amīr-e-shahr hue
ġharīb-e-shahr ko sab nā-umīd karte rahe
kiyā hai ham ne hamesha hī kārobār-e-ziyāñ
ki sastā bech ke mahñgā ḳharīd karte rahe
kisī se shahr-e-ḳhamoshāñ meñ kahte sunte kyā
ham apne aap se guft-o-shunīd karte rahe
vo zer-e-ḳhanjar-e-qātil na thā gulū koī
vo ik ḳhayāl thā jis ko shahīd karte rahe
mirā kalām to kyā nāqdīn-e-fan 'mohsin'
kalām-e-haq meñ bhī qat'-o-burīd karte rahe
ye jaur ahl-e-aza par mazid karte rahe
sitam-shiar moharram mein 'id karte rahe
hamare dam se raha daur-e-baada-paimai
ki apne KHun se hum mai kashid karte rahe
gila to ye hai ki jitne amir-e-shahr hue
gharib-e-shahr ko sab na-umid karte rahe
kiya hai hum ne hamesha hi karobar-e-ziyan
ki sasta bech ke mahnga KHarid karte rahe
kisi se shahr-e-KHamoshan mein kahte sunte kya
hum apne aap se guft-o-shunid karte rahe
wo zer-e-KHanjar-e-qatil na tha gulu koi
wo ek KHayal tha jis ko shahid karte rahe
mera kalam to kya naqdin-e-fan 'mohsin'
kalam-e-haq mein bhi qat'-o-burid karte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.