ye jaur-e-dast-e-zamana kaha kaha na kaha
ye jaur-e-dast-e-zamāna kahā kahā na kahā
ki dil kā haal kabhī aap ne sunā na kahā
jo baat tum se thī kahnī faqat tumhī se kahī
har ek bazm meñ ye dil kā mājrā na kahā
ye log raa.ī kā parbat banā rahe yūñhī
tire ravayye ko ham ne to nāravā na kahā
ḳhudā kā shukr sitam nāgavār bhī na lage
ḳhudā kā shukr kabhī tum ko bevafā na kahā
use nahīñ hai shikāyat to dūsrī koī
use gila hai ki kyoñ hāsil-e-duā na kahā
ḳhalish sī zehn meñ le kar hamesha phirtā rahā
sitam ko jab bhī burā maiñ ne barmalā na kahā
'valī' ġharībī meñ kam to nahīñ hai ye e.azāz
zamīñ ke bande bashar ko kabhī ḳhudā na kahā
ye jaur-e-dast-e-zamana kaha kaha na kaha
ki dil ka haal kabhi aap ne suna na kaha
jo baat tum se thi kahni faqat tumhi se kahi
har ek bazm mein ye dil ka majra na kaha
ye log rai ka parbat bana rahe yunhi
tere rawayye ko hum ne to narawa na kaha
KHuda ka shukr sitam nagawar bhi na lage
KHuda ka shukr kabhi tum ko bewafa na kaha
use nahin hai shikayat to dusri koi
use gila hai ki kyon hasil-e-dua na kaha
KHalish si zehn mein le kar hamesha phirta raha
sitam ko jab bhi bura main ne barmala na kaha
'wali' gharibi mein kam to nahin hai ye eazaz
zamin ke bande bashar ko kabhi KHuda na kaha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.