ye jism zar hai yun pairahan ke parde mein
ye jism zaar hai yuuñ pairahan ke parde meñ
ki jaise ruuh nihāñ hai badan ke parde meñ
sivā.e ahl-e-suḳhan ho mushāhida kis ko
nihāñ hai shāhid-e-ma.anī suḳhan ke parde meñ
talāsh jis kī hai din-rāt tujh ko ai ġhāfil
chhupā huā hai vo tere hī tan ke parde meñ
jo andalīb kī āñkhoñ se dekhe vo samjhe
zuhūr hai usī gul kā chaman ke parde meñ
shab-e-siyāh judā.ī meñ raushnī ho kahīñ
lagā.ūñ aag maiñ bait-ul-huzan ke parde meñ
tarīq-e-ishq chhuḌāyā hai tū ne ġhārat-gar
milā hai ḳhizr mujhe rāhzan ke parde meñ
latāfat aisī hai tujh meñ ki dekhtā huuñ saaf
guhar se daañt haiñ durj-e-dahan ke parde meñ
ba-rañg-e-zar koī kapḌoñ meñ aag rahtī hai
na mere daaġh chhupeñge kafan ke parde meñ
naqāb se tire abrū jo salḳh ko khul jaa.eñ
tū māh-e-nūr hai charḳh-e-kuhan ke parde meñ
agar tum aa.e the shīrīñ ke bhes meñ sāhab
to saath banda bhī thā kohkan ke parde meñ
numūd ho na tire ḳhatt-e-ambar-e-afshāñ kī
rahe vo jild ezār-o-zaqan ke parde meñ
chaman meñ laa.ī sabā kis kī bū jo aaj shamīm
damak rahī hai gul-e-yāsman ke parde meñ
nazar se thā sharar-e-sañg kī tarah jo nihāñ
vo but milā mujhe ik but-shikan ke parde meñ
tumhāre rū-e-muḳhattat kā muñh chiḌhāte haiñ
ye mehr-o-māh parī-rū gahan ke parde meñ
hazāroñ paḌ ga.e tīr-e-nigāh se sūrāḳh
hamāre is but-e-nāvak-fagan ke parde meñ
ḳhabar na shām-e-ġharībī kī mujh ko thī 'nāsiḳh'
chhupī huī thī ye sub.h-e-vatan ke parde meñ
ye jism zar hai yun pairahan ke parde mein
ki jaise ruh nihan hai badan ke parde mein
siwae ahl-e-suKHan ho mushahida kis ko
nihan hai shahid-e-mani suKHan ke parde mein
talash jis ki hai din-raat tujh ko ai ghafil
chhupa hua hai wo tere hi tan ke parde mein
jo andalib ki aankhon se dekhe wo samjhe
zuhur hai usi gul ka chaman ke parde mein
shab-e-siyah judai mein raushni ho kahin
lagaun aag main bait-ul-huzan ke parde mein
tariq-e-ishq chhuDaya hai tu ne ghaarat-gar
mila hai KHizr mujhe rahzan ke parde mein
latafat aisi hai tujh mein ki dekhta hun saf
guhar se dant hain durj-e-dahan ke parde mein
ba-rang-e-zar koi kapDon mein aag rahti hai
na mere dagh chhupenge kafan ke parde mein
naqab se tere abru jo salKH ko khul jaen
tu mah-e-nur hai charKH-e-kuhan ke parde mein
agar tum aae the shirin ke bhes mein sahab
to sath banda bhi tha kohkan ke parde mein
numud ho na tere KHatt-e-ambar-e-afshan ki
rahe wo jild ezar-o-zaqan ke parde mein
chaman mein lai saba kis ki bu jo aaj shamim
damak rahi hai gul-e-yasman ke parde mein
nazar se tha sharar-e-sang ki tarah jo nihan
wo but mila mujhe ek but-shikan ke parde mein
tumhaare ru-e-muKHattat ka munh chiDhate hain
ye mehr-o-mah pari-ru gahan ke parde mein
hazaron paD gae tir-e-nigah se suraKH
hamare is but-e-nawak-fagan ke parde mein
KHabar na sham-e-gharibi ki mujh ko thi 'nasiKH'
chhupi hui thi ye subh-e-watan ke parde mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.