ye jo chaar din ki thi zindagi ise tere nam na kar saka
ye jo chaar din ki thi zindagi ise tere nam na kar saka
Rana Amir Liyaqat
MORE BYRana Amir Liyaqat
ye jo chaar din kī thī zindagī ise tere naam na kar sakā
mujhe rañj hai tire shahar meñ ye safar tamām na kar sakā
tire rāste meñ ravāñ-davāñ, rahā tere gard-o-ġhubār meñ
tujhe DhūñDte tujhe chhānte maiñ kahīñ qayām na kar sakā
maiñ us aadmī se thā ham-kalām ki jo chhā gayā mire chār-sū
ise dil pe lenā na dosto, maiñ agar salām na kar sakā
ye jo chaar din ki thi zindagi ise tere nam na kar saka
mujhe ranj hai tere shahar mein ye safar tamam na kar saka
tere raste mein rawan-dawan, raha tere gard-o-ghubar mein
tujhe DhunDte tujhe chhante main kahin qayam na kar saka
main us aadmi se tha ham-kalam ki jo chha gaya mere chaar-su
ise dil pe lena na dosto, main agar salam na kar saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.