ye jo chehre pe muskurahaT hai
ye jo chehre pe muskurāhaT hai
ik sajāvaT hai ik banāvaT hai
mujh meñ tujh meñ bas ek rishta hai
tere andar bhī khaTpaTāhaT hai
kuchh taqāze haiñ kuchh udhārī hai
umr kā bojh hai thakāvaT hai
har koī paḌh samajh na pā.egā
vaqt ke haath kī likhāvaT hai
gāliyoñ kī tarah hī lagtī hai
ye jo naqlī sī muskurāhaT hai
ye jo chehre pe muskurahaT hai
ek sajawaT hai ek banawaT hai
mujh mein tujh mein bas ek rishta hai
tere andar bhi khaTpaTahaT hai
kuchh taqaze hain kuchh udhaari hai
umr ka bojh hai thakawaT hai
har koi paDh samajh na paega
waqt ke hath ki likhawaT hai
galiyon ki tarah hi lagti hai
ye jo naqli si muskurahaT hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.