ye jo chehre se tumhein lagte hain bimar se hum
ye jo chehre se tumheñ lagte haiñ bīmār se ham
ḳhuub ro.e haiñ lipaT kar dar-o-dīvār se ham
yaar kī aañkh meñ nafrat ne hameñ maar diyā
marne vaale the kahāñ yaar kī talvār se ham
ishq meñ hukm-udūlī bhī hameñ aatī hai
Talne vaale to nahīñ haiñ tire inkār se ham
rañj har rañg ke jholī meñ bhare haiñ ham ne
jab bhī guzre haiñ kisī dard ke bāzār se ham
bādshāh shā.ir-majnūñ sabhī aate haiñ yahāñ
lag ke baiThe haiñ 'vasī'-shāh ke darbār se ham
ye jo chehre se tumhein lagte hain bimar se hum
KHub roe hain lipaT kar dar-o-diwar se hum
yar ki aankh mein nafrat ne hamein mar diya
marne wale the kahan yar ki talwar se hum
ishq mein hukm-uduli bhi hamein aati hai
Talne wale to nahin hain tere inkar se hum
ranj har rang ke jholi mein bhare hain hum ne
jab bhi guzre hain kisi dard ke bazar se hum
baadshah shair-majnun sabhi aate hain yahan
lag ke baiThe hain 'wasi'-shah ke darbar se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.