ye jo fitrat mein KHaksari hai
ye jo fitrat meñ ḳhāksārī hai
bā.is-e-faḳhr vaz.a-dārī hai
sirf dil par nahīñ koī qaabū
aur jo kuchh hai iḳhtiyārī hai
kuchh nahīñ kā.enāt is ke sivā
ik tamāshā hai ik madārī hai
apne dil kī shikastagī ke sabab
'mīr' sāhab se rishtedārī hai
us kā anjām ḳhuub hai mālūm
vaqt-e-be-mehr se jo pyārī hai
kyā zamāna miTā sakegā use
ye jo urdu zabāñ hamārī hai
ye jo fitrat mein KHaksari hai
bais-e-faKHr waza-dari hai
sirf dil par nahin koi qabu
aur jo kuchh hai iKHtiyari hai
kuchh nahin kaenat is ke siwa
ek tamasha hai ek madari hai
apne dil ki shikastagi ke sabab
'mir' sahab se rishtedari hai
us ka anjam KHub hai malum
waqt-e-be-mehr se jo pyari hai
kya zamana miTa sakega use
ye jo urdu zaban hamari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.