ye jo gul-ru nigar hanste hain
ye jo gul-rū nigār hañste haiñ
fitna-gar haiñ hazār hañste haiñ
arz bose kī sach na jaano tum
ham to ai gul-ezār hañste haiñ
dil ko de muft hañste haiñ ham yuuñ
jis tarah sharmsār hañste haiñ
ham jo karte haiñ ishq piirī meñ
ḳhūb-rū baar baar hañste haiñ
jo qadīmī haiñ yaar dost 'nazīr'
vo bhī be-iḳhtiyār hañste haiñ
ye jo gul-ru nigar hanste hain
fitna-gar hain hazar hanste hain
arz bose ki sach na jaano tum
hum to ai gul-ezar hanste hain
dil ko de muft hanste hain hum yun
jis tarah sharmsar hanste hain
hum jo karte hain ishq piri mein
KHub-ru bar bar hanste hain
jo qadimi hain yar dost 'nazir'
wo bhi be-iKHtiyar hanste hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.