ye jo hai aashiqi tabarruk hai
ye jo hai 'āshiqī tabarruk hai
aur ye dā.imī tabarruk hai
ek ne'mat to haiñ mirī āñkheñ
haañ par in meñ namī tabarruk hai
ḳhatm hogī kisī ke aate hī
yā'nī terī kamī tabarruk hai
thoḌī thoḌī sī dī ga.ī sab ko
zindagī ‘ālamī tabarruk hai
aap kyoñ bāñTte haiñ saj-dhaj kar
bevafā.ī koī tabarruk hai
fikr hai fātiha mirā 'sābir'
aur mirī shā'irī tabarruk hai
ye jo hai 'ashiqi tabarruk hai
aur ye daimi tabarruk hai
ek ne'mat to hain meri aankhen
han par in mein nami tabarruk hai
KHatm hogi kisi ke aate hi
ya'ni teri kami tabarruk hai
thoDi thoDi si di gai sab ko
zindagi ‘alami tabarruk hai
aap kyon banTte hain saj-dhaj kar
bewafai koi tabarruk hai
fikr hai fatiha mera 'sabir'
aur meri sha'iri tabarruk hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.