ye jo hum iKHtilaf karte hain
ye jo ham iḳhtilāf karte haiñ
aap kā e'tirāf karte haiñ
aao dhote haiñ dil ke dāġhoñ ko
aao ā.īne saaf karte haiñ
tum ko ḳhush dekhne kī ḳhātir ham
baat apne ḳhilāf karte haiñ
mujrim-e-ishq tū bhī hai ai dost
jā tujhe ham muaaf karte haiñ
lafz ke ghaav hoñ to kaise bhareñ
lafz gahrā shigāf karte haiñ
ye jo hum iKHtilaf karte hain
aap ka e'tiraf karte hain
aao dhote hain dil ke daghon ko
aao aaine saf karte hain
tum ko KHush dekhne ki KHatir hum
baat apne KHilaf karte hain
mujrim-e-ishq tu bhi hai ai dost
ja tujhe hum muaf karte hain
lafz ke ghaw hon to kaise bharen
lafz gahra shigaf karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.