ye jo har samt tere neze ki shohrat hai bahut
ye jo har samt tire neze kī shohrat hai bahut
sach to ye hai ki mare sar kī badaulat hai bahut
chashma-e-chashm ke paanī se nahīñ hogā kuchh
ḳhāk-e-sahrā hai ise ḳhuuñ kī zarūrat hai bahut
maiñ to ik aañkh huuñ āvāz se mujh ko na Darā
ye tire jalva-e-sad-rang kī dahshat hai bahut
but-e-ma.anī bhī ma.ānī ke pujārī bhī ga.e
aa ki ab ma.abad-e-alfāz meñ ḳhalvat hai bahut
ḳhaak hī shahr-o-bayābāñ kī agar daulat hai
to ye āvāra tirā sāhab-e-sarvat hai bahut
ye jo har samt tere neze ki shohrat hai bahut
sach to ye hai ki mare sar ki badaulat hai bahut
chashma-e-chashm ke pani se nahin hoga kuchh
KHak-e-sahra hai ise KHun ki zarurat hai bahut
main to ek aankh hun aawaz se mujh ko na Dara
ye tere jalwa-e-sad-rang ki dahshat hai bahut
but-e-mani bhi maani ke pujari bhi gae
aa ki ab mabad-e-alfaz mein KHalwat hai bahut
KHak hi shahr-o-bayaban ki agar daulat hai
to ye aawara tera sahab-e-sarwat hai bahut
- Book : Nakhl-e-Aab (Pg. 37)
- Author : Rafeeq Raaz
- Publication : Takbeer Publications, Srinagar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.