ye jo jugnu hain ya sitare hain
ye jo jugnū haiñ yā sitāre haiñ
ham meñ raushan haiñ ye hamāre haiñ
kyā ḳhizāñ kyā bahār kā jhagḌā
jitne mausam haiñ ham ko pyāre haiñ
kis ke ḳhāke meñ ham bhareñ un ko
rang phūloñ se jo utāre haiñ
apne andar kī raakh meñ ab bhī
jalte bujhte se kuchh sharāre haiñ
biij bote haiñ jo havāoñ meñ
kitne ma.asūm vo bichāre haiñ
ḳhvāb-e-fardā se kyā hameñ 'fikrī'
aise ḳhvāboñ se ab kināre haiñ
ye jo jugnu hain ya sitare hain
hum mein raushan hain ye hamare hain
kya KHizan kya bahaar ka jhagDa
jitne mausam hain hum ko pyare hain
kis ke KHake mein hum bharen un ko
rang phulon se jo utare hain
apne andar ki rakh mein ab bhi
jalte bujhte se kuchh sharare hain
bij bote hain jo hawaon mein
kitne masum wo bichaare hain
KHwab-e-farda se kya hamein 'fikri'
aise KHwabon se ab kinare hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.