ye jo lahore se mohabbat hai
ye jo lahore se mohabbat hai
ye kisī aur se mohabbat hai
aur vo aur tum nahīñ shāyad
mujh ko jis aur se mohabbat hai
ye huuñ maiñ aur ye mirī tasvīr
dekh le ġhaur se mohabbat hai
bachpanā kam-sinī javānī aaj
tere har daur se mohabbat hai
ek tahzīb hai mujhe maqsūd
mujh ko ik daur se mohabbat hai
us kī har tarz mujh ko bhātī hai
us ke har taur se mohabbat hai
ye jo lahore se mohabbat hai
ye kisi aur se mohabbat hai
aur wo aur tum nahin shayad
mujh ko jis aur se mohabbat hai
ye hun main aur ye meri taswir
dekh le ghaur se mohabbat hai
bachpana kam-sini jawani aaj
tere har daur se mohabbat hai
ek tahzib hai mujhe maqsud
mujh ko ek daur se mohabbat hai
us ki har tarz mujh ko bhati hai
us ke har taur se mohabbat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.