Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye jo nang the ye jo nam the mujhe kha gae

Khursheed Rizvi

ye jo nang the ye jo nam the mujhe kha gae

Khursheed Rizvi

MORE BYKhursheed Rizvi

    ye jo nang the ye jo naam the mujhe khā ga.e

    ye ḳhayāl-e-puḳhta jo ḳhaam the mujhe khā ga.e

    kabhī apnī aañkh se zindagī pe nazar na

    vahī zāviye ki jo aam the mujhe khā ga.e

    maiñ amiiq thā ki palā huā thā sukūt meñ

    ye jo log mahv-e-kalām the mujhe khā ga.e

    vo jo mujh meñ ek ikaa.ī thī vo na juḌ sakī

    yahī reza reza jo kaam the mujhe khā ga.e

    ye ayaañ jo āb-e-hayāt hai ise kyā karūñ

    ki nihāñ jo zahr ke jaam the mujhe khā ga.e

    vo nagīñ jo ḳhātim-e-zindagī se phisal gayā

    to vahī jo mere ġhulām the mujhe khā ga.e

    maiñ vo sho.ala thā jise daam se to zarar na thā

    pa jo vasvase tah-e-dām the mujhe khā ga.e

    jo khulī khulī thiiñ adāvateñ mujhe raas thiiñ

    ye jo zahr-e-ḳhand-salām the mujhe khā ga.e

    ye jo nang the ye jo nam the mujhe kha gae

    ye KHayal-e-puKHta jo KHam the mujhe kha gae

    kabhi apni aankh se zindagi pe nazar na ki

    wahi zawiye ki jo aam the mujhe kha gae

    main amiq tha ki pala hua tha sukut mein

    ye jo log mahw-e-kalam the mujhe kha gae

    wo jo mujh mein ek ikai thi wo na juD saki

    yahi reza reza jo kaam the mujhe kha gae

    ye ayan jo aab-e-hayat hai ise kya karun

    ki nihan jo zahr ke jam the mujhe kha gae

    wo nagin jo KHatim-e-zindagi se phisal gaya

    to wahi jo mere ghulam the mujhe kha gae

    main wo shoala tha jise dam se to zarar na tha

    pa jo waswase tah-e-dam the mujhe kha gae

    jo khuli khuli thin adawaten mujhe ras thin

    ye jo zahr-e-KHand-salam the mujhe kha gae

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Khursheed Rizvi

    Khursheed Rizvi

    Khursheed Rizvi

    Khursheed Rizvi

    Khursheed Rizvi

    Khursheed Rizvi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now