ye jo phaila hua zamana hai
ye jo phailā huā zamāna hai
is kā raqba ġharīb-ḳhāna hai
koī manzar sadā nahīñ rahtā
har ta.alluq musāfirāna hai
des pardes kyā parindoñ kā
āb-o-dāna hī āshiyāna hai
kaisī masjid kahāñ kā but-ḳhāna
har jagah us kā āstāna hai
ishq kī umr kam hī hotī hai
baaqī jo kuchh hai dostāna hai
ye jo phaila hua zamana hai
is ka raqba gharib-KHana hai
koi manzar sada nahin rahta
har talluq musafirana hai
des pardes kya parindon ka
aab-o-dana hi aashiyana hai
kaisi masjid kahan ka but-KHana
har jagah us ka aastana hai
ishq ki umr kam hi hoti hai
baqi jo kuchh hai dostana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.