ye jo Thahraw hai rawani mein
ye jo Thahrāv hai ravānī meñ
ik kathā aur hai kahānī meñ
haa.e afsos haa.e haa.e dil
kaT ga.ī umr rā.igānī meñ
kāñch pyāla thā kirchī kirchī huā
aa gayā jab ubaal paanī meñ
dasht meñ jā ke ḳhud-kushī kar lī
na lagā dil jo bāġhbānī meñ
maut yak-laḳht aa bhī saktī hai
kab hai tāḳhīr nā-gahānī meñ
mas.ala hal kisī tarah bhī ho
aag lag bhī chukī hai paanī meñ
dil hai ḳhālī makān sā 'ādil'
dost bin kyā hai zindagānī meñ
ye jo Thahraw hai rawani mein
ek katha aur hai kahani mein
hae afsos hae hae dil
kaT gai umr raigani mein
kanch pyala tha kirchi kirchi hua
aa gaya jab ubaal pani mein
dasht mein ja ke KHud-kushi kar li
na laga dil jo baghbani mein
maut yak-laKHt aa bhi sakti hai
kab hai taKHir na-gahani mein
masala hal kisi tarah bhi ho
aag lag bhi chuki hai pani mein
dil hai KHali makan sa 'adil'
dost bin kya hai zindagani mein
- Book : Inpage File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.