Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye jo zahr hai tere qurb ka mere rom rom utar de

Khalid  Nadeem Shaani

ye jo zahr hai tere qurb ka mere rom rom utar de

Khalid Nadeem Shaani

MORE BYKhalid Nadeem Shaani

    ye jo zahr hai tire qurb mire rom rom utaar de

    mirī dāstān ho mo'atabar mujhe apne ishq meñ maar de

    kabhī apne jism ko mai banā mujhe qatra qatra pilā.e

    mirī aañkh roz-e-jazā khule koī is tarah ḳhumār de

    tirī nisbatoñ se juḌā rahūñ tire rāstoñ meñ paḌā rahūñ

    koī aisī hasrat-e-be-bahā mirī dhaḌkanoñ se guzār de

    mire dostā mire kibriyā mirī laġhzishoñ se ho darguzar

    mirī pastiyoñ ko uruuj de mire ujḌe dil ko sañvār de

    mirī ārzūoñ ke siip kisī āb-e-naisāñ se mel kar

    mujhe āshnā-e-visāl kar mirī bekalī ko qarār de

    yahī apne shauq se kah diyā kabhī ek pal nahīñ sochnā

    jahāñ naqsh-e-pā mile yaar ye matā-e-jāñ vahīñ vaar de

    ye jo zahr hai tere qurb ka mere rom rom utar de

    meri dastan ho mo'atabar mujhe apne ishq mein mar de

    kabhi apne jism ko mai bana mujhe qatra qatra pilae ja

    meri aankh roz-e-jaza khule koi is tarah ka KHumar de

    teri nisbaton se juDa rahun tere raston mein paDa rahun

    koi aisi hasrat-e-be-baha meri dhaDkanon se guzar de

    mere dosta mere kibriya meri laghzishon se ho darguzar

    meri pastiyon ko uruj de mere ujDe dil ko sanwar de

    meri aarzuon ke sip ka kisi aab-e-naisan se mel kar

    mujhe aashna-e-visal kar meri bekali ko qarar de

    yahi apne shauq se kah diya kabhi ek pal nahin sochna

    jahan naqsh-e-pa mile yar ka ye mata-e-jaan wahin war de

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now