ye kaenat hai kya dasht kya makan kya hai
ye kā.enāt hai kyā dasht kyā makāñ kyā hai
bas ek jazba-e-taḳhlīq hai jahāñ kyā hai
ḳhudā ne dekh ke tāb-e-tajassus-e-insāñ
nazar pe had sī lagā dī hai āsmāñ kyā hai
galā ke chhoḌegā har shai ko vaqt kā tezāb
sivā.e nūr-e-ḳhudā aur jāvedāñ kyā hai
bas ek ġhaib kī talvār ye ḳhudā.ī hai
phir us ke sāmne fariyād kyā fuġhāñ kyā hai
ġham-e-jahāñ kā fasāna bahut tavīl hai dost
hamārī ek shab-e-ġham kī dāstāñ kyā hai
bachā hī kyā hai tire paas bik gayā sab kuchh
baḌhā le 'rāz' ki ḳhālī hai ye dukāñ kyā hai
ye kaenat hai kya dasht kya makan kya hai
bas ek jazba-e-taKHliq hai jahan kya hai
KHuda ne dekh ke tab-e-tajassus-e-insan
nazar pe had si laga di hai aasman kya hai
gala ke chhoDega har shai ko waqt ka tezab
siwae nur-e-KHuda aur jawedan kya hai
bas ek ghaib ki talwar ye KHudai hai
phir us ke samne fariyaad kya fughan kya hai
gham-e-jahan ka fasana bahut tawil hai dost
hamari ek shab-e-gham ki dastan kya hai
bacha hi kya hai tere pas bik gaya sab kuchh
baDha le 'raaz' ki KHali hai ye dukan kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.