ye kaenat to hai piTara faqir ka
ye kā.enāt to hai piTārā faqīr kā
hotā nahīñ ġhurūb sitārā faqīr kā
duniyā murīd ban ke khaḌī hai magar hunūz
faaqa meñ ho rahā hai guzārā faqīr kā
sadqe meñ mil ga.iiñ thiiñ duā.eñ faqīr se
chamkegā to hayāt-sitārā faqīr kā
Thokar meñ us ko rakhnā hī kār-e-savāb hai
duniyā to hai janāb utārā faqīr kā
ye kaifiyāt bayān meñ aatī nahīñ 'nisār'
jab gūñjtā hai zehn meñ na.ara faqīr kā
ye kaenat to hai piTara faqir ka
hota nahin ghurub sitara faqir ka
duniya murid ban ke khaDi hai magar hunuz
faqa mein ho raha hai guzara faqir ka
sadqe mein mil gain thin duaen faqir se
chamkega to hayat-sitara faqir ka
Thokar mein us ko rakhna hi kar-e-sawab hai
duniya to hai janab utara faqir ka
ye kaifiyat bayan mein aati nahin 'nisar'
jab gunjta hai zehn mein nara faqir ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.