Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye kar-e-zindagi tha to karna paDa mujhe

Ameer Imam

ye kar-e-zindagi tha to karna paDa mujhe

Ameer Imam

MORE BYAmeer Imam

    ye kār-e-zindagī thā to karnā paḌā mujhe

    ḳhud ko sameTne meñ bikharnā paḌā mujhe

    phir ḳhvāhishoñ ko koī sarā.e na mil sakī

    ik aur raat ḳhud meñ Thaharnā paḌā mujhe

    mahfūz ḳhāmushī panāhoñ meñ thā magar

    gūñjī ik aisī chīḳh ki Darnā paḌā mujhe

    is baar rāh-e-ishq kuchh itnī tavīl thī

    us ke badan se ho ke guzarnā paḌā mujhe

    puurī amiir imaam tasvīr jab huī

    us meñ lahū rañg bhī bharnā paḌā mujhe

    ye kar-e-zindagi tha to karna paDa mujhe

    KHud ko sameTne mein bikharna paDa mujhe

    phir KHwahishon ko koi sarae na mil saki

    ek aur raat KHud mein Thaharna paDa mujhe

    mahfuz KHamushi ki panahon mein tha magar

    gunji ek aisi chiKH ki Darna paDa mujhe

    is bar rah-e-ishq kuchh itni tawil thi

    us ke badan se ho ke guzarna paDa mujhe

    puri amir imam ki taswir jab hui

    us mein lahu ka rang bhi bharna paDa mujhe

    RECITATIONS

    Ameer Imam

    Ameer Imam,

    Ameer Imam

    ye kar-e-zindagi tha to karna paDa mujhe Ameer Imam

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now