ye kab kaha ki kabhi apni guftugu na hui
ye kab kahā ki kabhī apnī guftugū na huī
jo baat karnī thī un se vahī kabhū na huī
zamīñ se arsh-e-barīñ tak safar kiyā maiñ ne
kahīñ pe ḳhatm magar merī justujū na huī
tirī tarah mirī shohrat to ho ga.ī lekin
mirī tarah tirī rusvā.ī kū-ba-kū na huī
ise nasīb kaheñ yā ki ittifāq kaheñ
kahīñ pe maiñ na huā aur kahīñ pe tū na huī
hayāt apnī bhī guzrī kuchh is tarah 'rāhib'
chaman meñ rah ke shanāsā-e-rang-o-bū na huī
ye kab kaha ki kabhi apni guftugu na hui
jo baat karni thi un se wahi kabhu na hui
zamin se arsh-e-barin tak safar kiya main ne
kahin pe KHatm magar meri justuju na hui
teri tarah meri shohrat to ho gai lekin
meri tarah teri ruswai ku-ba-ku na hui
ise nasib kahen ya ki ittifaq kahen
kahin pe main na hua aur kahin pe tu na hui
hayat apni bhi guzri kuchh is tarah 'rahib'
chaman mein rah ke shanasa-e-rang-o-bu na hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.