Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye kab kaha tha mujhe ham-nawa nahin dena

Saurabh Sharma Sadaf

ye kab kaha tha mujhe ham-nawa nahin dena

Saurabh Sharma Sadaf

MORE BYSaurabh Sharma Sadaf

    ye kab kahā thā mujhe ham-navā nahīñ denā

    magar haañ phir se vahī bevafā nahīñ denā

    maiñ TuuT jā.ūñ to aa kar gale lagā lenā

    koī dalīl koī mashvara nahīñ denā

    ḳhudā ke naam pe aapas meñ bāñTne vaalo

    ḳhudā ke vāste ye vāsta nahīñ denā

    banāne vaale se itnī murād jaa.ez hai

    bas ab ke aur koī hādisa nahīñ denā

    ye ḳhat nahīñ ye mire pyaar alāmat hai

    so is ko taish meñ aa kar jalā nahīñ denā

    ye kab kaha tha mujhe ham-nawa nahin dena

    magar han phir se wahi bewafa nahin dena

    main TuT jaun to aa kar gale laga lena

    koi dalil koi mashwara nahin dena

    KHuda ke nam pe aapas mein banTne walo

    KHuda ke waste ye wasta nahin dena

    banane wale se itni murad jaez hai

    bas ab ke aur koi hadisa nahin dena

    ye KHat nahin ye mere pyar ki alamat hai

    so is ko taish mein aa kar jala nahin dena

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now