ye kah kah ke hum dil ko bahla rahe hain
ye kah kah ke ham dil ko bahlā rahe haiñ
mulāqāt ke din qarīb aa rahe haiñ
vo gulshan meñ yuuñ sair farmā rahe haiñ
idhar aa rahe haiñ udhar jā rahe haiñ
saroñ par masā.ib bhī mañDlā raheñ haiñ
magar giit ḳhushiyoñ ke ham gā rahe haiñ
samajhne ko koī bhī raazī nahīñ hai
hamīñ dil to ham dil ko samjhā rahe haiñ
sulajhtī nahīñ zulf bhī jin se apnī
masā.il zamāne ke suljhā rahe haiñ
na ahl-e-siyāsat kī chāloñ meñ aanā
vo jaal apnā har or phailā rahe haiñ
jinheñ tum ne Thukrā diyā thā kisī din
abhī tak vo zaḳhmoñ ko sahlā rahe haiñ
ye kah kah ke hum dil ko bahla rahe hain
mulaqat ke din qarib aa rahe hain
wo gulshan mein yun sair farma rahe hain
idhar aa rahe hain udhar ja rahe hain
saron par masaib bhi manDla rahen hain
magar git KHushiyon ke hum ga rahe hain
samajhne ko koi bhi raazi nahin hai
hamin dil to hum dil ko samjha rahe hain
sulajhti nahin zulf bhi jin se apni
masail zamane ke suljha rahe hain
na ahl-e-siyasat ki chaalon mein aana
wo jal apna har or phaila rahe hain
jinhen tum ne Thukra diya tha kisi din
abhi tak wo zaKHmon ko sahla rahe hain
- Book : Rehguzar (Pg. 40)
- Author : Shobha Kukkal
- Publication : Kalpant publication B-2 Mansrovar park shahdra delhi-32 (2012-2013)
- Edition : 2012-2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.