ye kaisa sansar hai baba
ye kaisā sansār hai baabā
har-sū hāhā-kār hai baabā
jo bhī yaañ zardār hai baabā
beḌā us kā paar hai baabā
daulat par mat itnā akḌo
ret kī ye dīvār hai baabā
sharm-o-hayā se jo aarī hai
aaj vahī hushiyār hai baabā
jīvan ik dariyā hai ġham kā
phir bhī ye uphār hai baabā
TeḌhe sīdhe ho jaate haiñ
vaqt kī aisī maar hai baabā
'aḳhtar' har pal bach ke rahnā
bātil kī sarkār hai baabā
ye kaisa sansar hai baba
har-su haha-kar hai baba
jo bhi yan zardar hai baba
beDa us ka par hai baba
daulat par mat itna akDo
ret ki ye diwar hai baba
sharm-o-haya se jo aari hai
aaj wahi hushiyar hai baba
jiwan ek dariya hai gham ka
phir bhi ye uphaar hai baba
TeDhe sidhe ho jate hain
waqt ki aisi mar hai baba
'aKHtar' har pal bach ke rahna
baatil ki sarkar hai baba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.