ye kaisa zulm-o-sitam bad-qimash karta hai
ye kaisa zulm-o-sitam bad-qimash karta hai
Mohammad Sharfuddin Sahil
MORE BYMohammad Sharfuddin Sahil
ye kaisā zulm-o-sitam bad-qimāsh kartā hai
vo be-gunāh kā dil pāsh-pāsh kartā hai
sukūn-e-qalb se vo shaḳhs ho gayā mahrūm
havas kī qaid meñ fikr-e-ma.āsh kartā hai
milā hai aaj sabab ye shikast-e-paiham kā
mirā hī dost mire raaz faash kartā hai
ye tiir us ke taqaddus ko kar gayā majrūh
vo baat kartā hai jab dil-ḳharāsh kartā hai
use mizāj-e-munāfiq se ḳhaas nisbat hai
vo va.ada karke bhī aksar nirāsh kartā hai
ye ird-gird hī rahtī hai us ke a 'sāhil'
ajiib shaḳhs hai nekī talāsh kartā hai
ye kaisa zulm-o-sitam bad-qimash karta hai
wo be-gunah ka dil pash-pash karta hai
sukun-e-qalb se wo shaKHs ho gaya mahrum
hawas ki qaid mein fikr-e-maash karta hai
mila hai aaj sabab ye shikast-e-paiham ka
mera hi dost mere raaz fash karta hai
ye tir us ke taqaddus ko kar gaya majruh
wo baat karta hai jab dil-KHarash karta hai
use mizaj-e-munafiq se KHas nisbat hai
wo wada karke bhi aksar nirash karta hai
ye ird-gird hi rahti hai us ke a 'sahil'
ajib shaKHs hai neki talash karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.