ye kaise dard ne qisse ka iKHtitam kiya
ye kaise dard ne qisse ka iKHtitam kiya
Dilnawaz Khan Dilnawaz
MORE BYDilnawaz Khan Dilnawaz
ye kaise dard ne qisse kā iḳhtitām kiyā
mujhe miTāne kā ik zauq-e-nā-tamām kiyā
vo sabza sūkhā vo peḌoñ se gir paḌe patte
hamārī maut kā kis kis ne ehtirām kiyā
uThā janāza to aañsū bahā ke bādal ne
vuzū kā kitnā ye bar-vaqt intizām kiyā
bahisht aur jahannum ke darmiyāñ rakhā
mire gunāhoñ ne itnā to ek kaam kiyā
hai 'dil-navāz' ye duniyā kā ek khel nayā
kisī ne luuTā hameñ aur kisī kā naam kiyā
ye kaise dard ne qisse ka iKHtitam kiya
mujhe miTane ka ek zauq-e-na-tamam kiya
wo sabza sukha wo peDon se gir paDe patte
hamari maut ka kis kis ne ehtiram kiya
uTha janaza to aansu baha ke baadal ne
wuzu ka kitna ye bar-waqt intizam kiya
bahisht aur jahannum ke darmiyan rakha
mere gunahon ne itna to ek kaam kiya
hai 'dil-nawaz' ye duniya ka ek khel naya
kisi ne luTa hamein aur kisi ka nam kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.