ye kaise jaanta gar shahr mein aaya nahin hota
ye kaise jāntā gar shahr meñ aayā nahīñ hotā
yahāñ dīvār hotī hai magar saaya nahīñ hotā
risālat kī binā gar jhuuT par rakkhī ga.ī hotī
rasūloñ ko bhī to duniyā ne jhuThlāyā nahīñ hotā
ye ḳhvāb-e-sub.h kyā karte tamannā kī hinā-bandī
agar tārīḳh ne apne ko dohrāyā nahīñ hotā
jo amrit chhoḌ kar ham log bhī vish-pān kar lete
to apne ḳhuun meñ ye saañp lahrāyā nahīñ hotā
maiñ apne qatl kā us par kabhī shak bhī nahīñ kartā
agar vo muskurāte vaqt sharmāyā nahīñ hotā
agar kuchh kaam aatī istilāh-e-sāġhar-o-mīnā
to merī tishnagī ne mujh ko bahkāyā nahīñ hotā
janāb-e-'mīr' rote haiñ to 'qaisar' shauq se ro.eñ
hamāre ahd meñ ab koī ham-sāya nahīñ hotā
ye kaise jaanta gar shahr mein aaya nahin hota
yahan diwar hoti hai magar saya nahin hota
risalat ki bina gar jhuT par rakkhi gai hoti
rasulon ko bhi to duniya ne jhuThlaya nahin hota
ye KHwab-e-subh kya karte tamanna ki hina-bandi
agar tariKH ne apne ko dohraya nahin hota
jo amrit chhoD kar hum log bhi wish-pan kar lete
to apne KHun mein ye sanp lahraya nahin hota
main apne qatl ka us par kabhi shak bhi nahin karta
agar wo muskuraate waqt sharmaya nahin hota
agar kuchh kaam aati istilah-e-saghar-o-mina
to meri tishnagi ne mujh ko bahkaya nahin hota
janab-e-'mir' rote hain to 'qaisar' shauq se roen
hamare ahd mein ab koi ham-saya nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.