ye karb ka ehsas musalsal mere allah
ye karb kā ehsās musalsal mire allāh
kar degā kisī din mujhe pāgal mire allāh
bikhre hue TukḌoñ ko sameTūñ bhī kahāñ tak
kis tarah karūñ ḳhud ko mukammal mire allāh
har zehn jihālat ke añdheroñ kā hai maskan
har haath meñ hai ilm kī mash.al mire allāh
lāshoñ ke har ek shahr meñ bāzār saje haiñ
har moḌ pe hai ik nayā maqtal mire allāh
hālāt se huuñ barsar-e-paikār abhī tak
go jism meñ baaqī nahīñ kas-bal mire allāh
mīloñ nahīñ āsār koī dasht-e-yaqīñ ke
har samt hai tashkīk kī daldal mire allāh
sarmāya-o-asbāb jise chāhe use de
'rāhī' ko bas ik sabr-o-tavakkul mire allāh
ye karb ka ehsas musalsal mere allah
kar dega kisi din mujhe pagal mere allah
bikhre hue TukDon ko sameTun bhi kahan tak
kis tarah karun KHud ko mukammal mere allah
har zehn jihaalat ke andheron ka hai maskan
har hath mein hai ilm ki mashal mere allah
lashon ke har ek shahr mein bazar saje hain
har moD pe hai ek naya maqtal mere allah
haalat se hun barsar-e-paikar abhi tak
go jism mein baqi nahin kas-bal mere allah
milon nahin aasar koi dasht-e-yaqin ke
har samt hai tashkik ki daldal mere allah
sarmaya-o-asbab jise chahe use de
'rahi' ko bas ek sabr-o-tawakkul mere allah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.