ye kashmakash-e-dil bhi kuchh kam nahin mahshar se
ye kashmakash-e-dil bhi kuchh kam nahin mahshar se
Riyazat Ali Shaiq
MORE BYRiyazat Ali Shaiq
ye kashmakash-e-dil bhī kuchh kam nahīñ mahshar se
har fitna javāñ ho kar uThtā hai mire ghar se
ye mahr-o-mah-e-tābāñ is darja hasīñ kab the
paa.ī hai ye tābānī un ke ruḳh-e-anvar se
mai-ḳhvār kī mahfil meñ phir daur-e-sharāb aayā
Takrāne lage sāġhar phir bazm meñ sāġhar se
is bazm-e-masarrat kī zīnat kā bayāñ kyā ho
miltā hai samāñ bilkul firdaus ke manzar se
mat dekh hiqārat kī nazroñ se ise nādāñ
ye chiiz hai mai vaa.iz miltī hai muqaddar se
is mahfil-e-rindāñ meñ kyā kaam takalluf kā
kam-zarf haiñ vo 'shā.eq' jo piite haiñ sāġhar se
ye kashmakash-e-dil bhi kuchh kam nahin mahshar se
har fitna jawan ho kar uThta hai mere ghar se
ye mahr-o-mah-e-taban is darja hasin kab the
pai hai ye tabani un ke ruKH-e-anwar se
mai-KHwar ki mahfil mein phir daur-e-sharab aaya
Takrane lage saghar phir bazm mein saghar se
is bazm-e-masarrat ki zinat ka bayan kya ho
milta hai saman bilkul firdaus ke manzar se
mat dekh hiqarat ki nazron se ise nadan
ye chiz hai mai waiz milti hai muqaddar se
is mahfil-e-rindan mein kya kaam takalluf ka
kam-zarf hain wo 'shaeq' jo pite hain saghar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.