ye kaun hai jo kanon mein ras ghol raha hai
ye kaun hai jo kanon mein ras ghol raha hai
Faisal Qadri Gunnauri
MORE BYFaisal Qadri Gunnauri
ye kaun hai jo kānoñ meñ ras ghol rahā hai
koyal kī tarah mīThā bahut bol rahā hai
daulat se mohabbat ko mirī tol rahā hai
vo shaḳhs jo mere liye anmol rahā hai
kyā paane kī rakkhegā koī tujh se tavaqqo'
hāthoñ meñ hamesha tire kashkol rahā hai
sab achchhī tarah se tujhe pahchān ga.e haiñ
ab tak jo ye chehre pe tire ḳhol rahā hai
kyā bhuul gayā hai tū abhī par nahīñ mere
sayyād abhī kyoñ ye qafas khol rahā hai
lā-‘ilm bhī kar lete the ash'ār ko mauzūñ
'faisal' ye mire shahr kā māhaul rahā hai
ye kaun hai jo kanon mein ras ghol raha hai
koyal ki tarah miTha bahut bol raha hai
daulat se mohabbat ko meri tol raha hai
wo shaKHs jo mere liye anmol raha hai
kya pane ki rakkhega koi tujh se tawaqqo'
hathon mein hamesha tere kashkol raha hai
sab achchhi tarah se tujhe pahchan gae hain
ab tak jo ye chehre pe tere KHol raha hai
kya bhul gaya hai tu abhi par nahin mere
sayyaad abhi kyon ye qafas khol raha hai
la-‘ilm bhi kar lete the ash'ar ko mauzun
'faisal' ye mere shahr ka mahaul raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.