ye KHak-zade jo rahte hain be-zaban paDe
ye ḳhāk-zāde jo rahte haiñ be-zabān paḌe
ishāra kar deñ to sūraj zamīñ pe aan paḌe
sukūt-e-zīst ko āmāda-e-baġhāvat kar
lahū uchhāl ki kuchh zindagī meñ jaan paḌe
hamāre shahr kī bīnā.iyoñ pe rote haiñ
tamām shahr ke manzar lahū-luhān paḌe
uThe haiñ haath mire hurmat-e-zamīñ ke liye
mazā jab aa.e ki ab paañv āsmān paḌe
kisī makīn kī aamad ke intizār meñ haiñ
mire mohalle meñ ḳhālī ka.ī makān paḌe
ye KHak-zade jo rahte hain be-zaban paDe
ishaara kar den to suraj zamin pe aan paDe
sukut-e-zist ko aamada-e-baghawat kar
lahu uchhaal ki kuchh zindagi mein jaan paDe
hamare shahr ki binaiyon pe rote hain
tamam shahr ke manzar lahu-luhan paDe
uThe hain hath mere hurmat-e-zamin ke liye
maza jab aae ki ab panw aasman paDe
kisi makin ki aamad ke intizar mein hain
mere mohalle mein KHali kai makan paDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.