ye KHabar bhi chhapiyega aaj ke aKHbar mein
ye ḳhabar bhī chhāpiyegā aaj ke aḳhbār meñ
ruuh bhī bikne lagī hai jism ke bāzār meñ
dekh kar bachchoñ ke fashion vo bhī nañgā ho gayā
ye izāfa bhī huā is daur kī raftār meñ
aaj bastī meñ machā kohrām to us ne kahā
maut kis ke ghar huī paḌh leñge kal aḳhbār meñ
ab to har tyauhār kā ham ko pata chaltā hai tab
jab police kī gasht baḌhtī shahar ke bāzār meñ
apnī shādī pe chhapā.e us ne añgrezī meñ card
vo jo hindī boltā thā roz ke bevhār meñ
vo taḌap vo chiTThiyāñ vo yaad vo be-chainiyāñ
sab purāne baaT haiñ ab pyaar ke byopār meñ
mehmānoñ kuchh na kuchh le kar hī jaanā tum vahāñ
dāvateñ ab Dhal chukī haiñ puure kārobār meñ
ye KHabar bhi chhapiyega aaj ke aKHbar mein
ruh bhi bikne lagi hai jism ke bazar mein
dekh kar bachchon ke fashion wo bhi nanga ho gaya
ye izafa bhi hua is daur ki raftar mein
aaj basti mein macha kohram to us ne kaha
maut kis ke ghar hui paDh lenge kal aKHbar mein
ab to har tyauhaar ka hum ko pata chalta hai tab
jab police ki gasht baDhti shahar ke bazar mein
apni shadi pe chhapae us ne angrezi mein card
wo jo hindi bolta tha roz ke bewhaar mein
wo taDap wo chiTThiyan wo yaad wo be-chainiyan
sab purane baT hain ab pyar ke byopar mein
mehmanon kuchh na kuchh le kar hi jaana tum wahan
dawaten ab Dhal chuki hain pure karobar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.