ye KHabar hai, mujh mein kuchh mere siwa maujud hai
ye ḳhabar hai, mujh meñ kuchh mere sivā maujūd hai
ab to bas ma.alūm karnā hai ki kyā maujūd hai
ek maiñ huuñ, jis kā honā ho ke bhī sābit nahīñ
ek vo hai jo na ho kar jā-ba-jā maujūd hai
haañ ḳhudā hai, is meñ koī shak kī gunjā.ish nahīñ
is se tum ye mat samajh lenā ḳhudā maujūd hai
hal kabhī hotā nahīñ ye jism se chhūTe baġhair
maiñ abhī zinda huuñ so ye mas.ala maujūd hai
taab āñkheñ lā sakeñ us husn kii, mumkin nahīñ
maiñ to hairāñ huuñ ki ab tak aa.ina maujūd hai
raat kaTtī hai maze meñ chain se hotī hai sub.h
chāñdnī maujūd hai bād-e-sabā maujūd hai
raushnī sī aa rahī hai is taraf chhantī huī
aur vo hiddat bhī jo zer-e-qabā maujūd hai
ek pal fursat kahāñ dete haiñ mujh ko mere ġham
ek ko bahlā diyā to dūsrā maujūd hai
dard kī shiddat meñ bhī chaltī hai mere dil ke saath
ik dhaḌaktī raushnī jo har jagah maujūd hai
mo'tabar to qais kā qissa bhī hai is zimn meñ
is havāle se mirā bhī vāqi.a maujūd hai
ḳhvāb meñ ik zaḳhm dekhā thā badan par jis jagah
sub.h dekhā to vahāñ ik daaġh sā maujūd hai
ek hī sho.ale se jalte aa rahe haiñ ye charāġh
'mīr' se mujh tak vahī ik silsila maujūd hai
yuuñ to hai 'irfān' har ehsās hī mahdūd sā
ik kasak sī hai ki jo be-intihā maujūd hai
ye KHabar hai, mujh mein kuchh mere siwa maujud hai
ab to bas malum karna hai ki kya maujud hai
ek main hun, jis ka hona ho ke bhi sabit nahin
ek wo hai jo na ho kar ja-ba-ja maujud hai
han KHuda hai, is mein koi shak ki gunjaish nahin
is se tum ye mat samajh lena KHuda maujud hai
hal kabhi hota nahin ye jism se chhuTe baghair
main abhi zinda hun so ye masala maujud hai
tab aankhen la saken us husn ki, mumkin nahin
main to hairan hun ki ab tak aaina maujud hai
raat kaTti hai maze mein chain se hoti hai subh
chandni maujud hai baad-e-saba maujud hai
raushni si aa rahi hai is taraf chhanti hui
aur wo hiddat bhi jo zer-e-qaba maujud hai
ek pal fursat kahan dete hain mujh ko mere gham
ek ko bahla diya to dusra maujud hai
dard ki shiddat mein bhi chalti hai mere dil ke sath
ek dhaDakti raushni jo har jagah maujud hai
mo'tabar to qais ka qissa bhi hai is zimn mein
is hawale se mera bhi waqia maujud hai
KHwab mein ek zaKHm dekha tha badan par jis jagah
subh dekha to wahan ek dagh sa maujud hai
ek hi shoale se jalte aa rahe hain ye charagh
'mir' se mujh tak wahi ek silsila maujud hai
yun to hai 'irfan' har ehsas hi mahdud sa
ek kasak si hai ki jo be-intiha maujud hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.