ye khet sabza shajar rahguzar sannaTa
ye khet sabza shajar rahguzār sannāTā
ugā hai duur talak be-shumār sannāTā
hamāre ḳhvāb koī aur dekh letā hai
hamārī aañkh ḳhalā intizār sannāTā
vo kushta-e-rah-e-saut-o-sadā huā shāyad
vo ek lafz thā jis kā hisār sannāTā
hai lafz lafz meñ bujhte makālmoñ kā dhuāñ
sukūt-e-ishq hai yā be-qarār sannāTā
kabhī to chheḌ koī saaz koī naġhma-e-jāñ
kabhī to apne badan se utaar sannāTā
ye khet sabza shajar rahguzar sannaTa
uga hai dur talak be-shumar sannaTa
hamare KHwab koi aur dekh leta hai
hamari aankh KHala intizar sannaTa
wo kushta-e-rah-e-saut-o-sada hua shayad
wo ek lafz tha jis ka hisar sannaTa
hai lafz lafz mein bujhte makalmon ka dhuan
sukut-e-ishq hai ya be-qarar sannaTa
kabhi to chheD koi saz koi naghma-e-jaan
kabhi to apne badan se utar sannaTa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.