ye KHud bahal jaegi tabiat kisi ki koi kami nahin hai
ye ḳhud bahal jā.egī tabī.at kisī kī koī kamī nahīñ hai
mujhe dilāsoñ kī kyā zarūrat mirī musībat na.ī nahīñ hai
sunā bahut thā hamāre qisse sabhī jarīdoñ meñ chhap chuke haiñ
meñ paḌh chukī huuñ ye saare column vo ik ḳhabar to lagī nahīñ hai
ye ġham sharākat kā vo hī samjhe jo is aziyyat meñ mubtalā hai
tum itne maġhrūr is liye ho tumhārī chāhat baTī nahīñ hai
alag alag haiñ hamārī rāheñ hamārī mushkil juḌī huī hai
mujhe masāfat ke haiñ masā.il use bhī manzil milī nahīñ hai
tumhārā lahja tumhārī bātoñ kā saath dene se Dar rahā hai
ye sab dikhāvā hī kar rahe ho tumheñ mohabbat huī nahīñ hai
ye KHud bahal jaegi tabiat kisi ki koi kami nahin hai
mujhe dilason ki kya zarurat meri musibat nai nahin hai
suna bahut tha hamare qisse sabhi jaridon mein chhap chuke hain
mein paDh chuki hun ye sare column wo ek KHabar to lagi nahin hai
ye gham sharakat ka wo hi samjhe jo is aziyyat mein mubtala hai
tum itne maghrur is liye ho tumhaari chahat baTi nahin hai
alag alag hain hamari rahen hamari mushkil juDi hui hai
mujhe masafat ke hain masail use bhi manzil mili nahin hai
tumhaara lahja tumhaari baaton ka sath dene se Dar raha hai
ye sab dikhawa hi kar rahe ho tumhein mohabbat hui nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.