ye KHushi thi ki us ka pyar mila
ye ḳhushī thī ki us kā pyaar milā
aur ye ġham ki ek baar milā
us ke aane kā rāsta dekhā
merī āñkhoñ ko intizār milā
be-sahārā ġharīb logoñ ko
kitnī mushkil se rozgār milā
pahle to laakh jāñ-nisār mile
baa'd meñ ek ġham-gusār milā
muddatoñ baa'd milne aayā tū
muddatoñ baa'd ye qarār milā
ye KHushi thi ki us ka pyar mila
aur ye gham ki ek bar mila
us ke aane ka rasta dekha
meri aankhon ko intizar mila
be-sahaara gharib logon ko
kitni mushkil se rozgar mila
pahle to lakh jaan-nisar mile
ba'd mein ek gham-gusar mila
muddaton ba'd milne aaya tu
muddaton ba'd ye qarar mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.