ye kis gham se aqidat ho gai hai
ye kis ġham se aqīdat ho ga.ī hai
ġham-e-duniyā se fursat ho ga.ī hai
ham apne haal par ḳhud ro diye haiñ
kabhī aisī bhī hālat ho ga.ī hai
agar do dil kahīñ bhī mil ga.e haiñ
zamāne ko shikāyat ho ga.ī hai
kahāñ maiñ aur kahāñ ālām-e-hastī
magar jiinā to aadat ho ga.ī hai
zarā sā ġham huā aur ro diye ham
baḌī nāzuk tabī.at ho ga.ī hai
ḳhabar kyā ho jahāñ vāloñ kī ham ko
unheñ dekhe bhī muddat ho ga.ī hai
sakūñ milne lagā 'shahzād' mujh ko
taḌap jaane kī sūrat ho ga.ī hai
ye kis gham se aqidat ho gai hai
gham-e-duniya se fursat ho gai hai
hum apne haal par KHud ro diye hain
kabhi aisi bhi haalat ho gai hai
agar do dil kahin bhi mil gae hain
zamane ko shikayat ho gai hai
kahan main aur kahan aalam-e-hasti
magar jina to aadat ho gai hai
zara sa gham hua aur ro diye hum
baDi nazuk tabiat ho gai hai
KHabar kya ho jahan walon ki hum ko
unhen dekhe bhi muddat ho gai hai
sakun milne laga 'shahzad' mujh ko
taDap jaane ki surat ho gai hai
- Book : Deewar pe dastak (Pg. 231)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.