ye kis karni ka phal hoga kaisi rut mein jage hum
ye kis karnī kā phal hogā kaisī rut meñ jaage ham
tez nukīlī talvāroñ ke biich meñ kachche dhāge ham
Tahnī Tahnī jhuul rahī haiñ lāsheñ zinda pattoñ kī
kyā is nazzāre kī ḳhātir jañgal jañgal bhāge ham
jaltī dhūpeñ pyāsā panchhī nahr kināre utregā
jab bhī koī zaḳhm dikhā hai añg piyā ke laage ham
apnī hī pahchān nahīñ to saa.e kī pahchān kahāñ
chappa chappa dīvāreñ haiñ kyā dekheñge aage ham
sab ke āñgan jhāñkne vaale ham se hī kyuuñ bair tujhe
kab tak terā rasta dekheñ saarī raat ke jaage ham
ye kis karni ka phal hoga kaisi rut mein jage hum
tez nukili talwaron ke bich mein kachche dhage hum
Tahni Tahni jhul rahi hain lashen zinda patton ki
kya is nazzare ki KHatir jangal jangal bhage hum
jalti dhupen pyasa panchhi nahr kinare utrega
jab bhi koi zaKHm dikha hai ang piya ke lage hum
apni hi pahchan nahin to sae ki pahchan kahan
chappa chappa diwaren hain kya dekhenge aage hum
sab ke aangan jhankne wale hum se hi kyun bair tujhe
kab tak tera rasta dekhen sari raat ke jage hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.