ye kis ke naqsh-e-pa se aisa silsila charagh tha
ye kis ke naqsh-e-pā se aisā silsila charāġh thā
ki mujh ko yuuñ lagā ki saarā rāsta charāġh thā
zarā sī der meñ hī ḳhadd-o-ḳhāl-e-shab badal ga.e
na shakl koī chāñd thī na aa.ina charāġh thā
savāl ye hai raushnī vahāñ pe rok dī ga.ī
jahāñ pe har kisī ke haath meñ nayā charāġh thā
bahut se haath sub.h kī duā hī karte rah ga.e
maiñ pur-umīd thā ki merā hausla charāġh thā
kahīñ kahīñ se jhaḌ rahī thī bhurnhurī sī raushnī
havā-e-shab ke ġham meñ kaisā mubtalā charāġh thā
zarā sī kyā havā chalī ki log saTpaTā ga.e
vahī gañvā diyā gayā jo raat kā charāġh thā
ye kis ke naqsh-e-pa se aisa silsila charagh tha
ki mujh ko yun laga ki sara rasta charagh tha
zara si der mein hi KHadd-o-KHal-e-shab badal gae
na shakl koi chand thi na aaina charagh tha
sawal ye hai raushni wahan pe rok di gai
jahan pe har kisi ke hath mein naya charagh tha
bahut se hath subh ki dua hi karte rah gae
main pur-umid tha ki mera hausla charagh tha
kahin kahin se jhaD rahi thi bhurnhuri si raushni
hawa-e-shab ke gham mein kaisa mubtala charagh tha
zara si kya hawa chali ki log saTpaTa gae
wahi ganwa diya gaya jo raat ka charagh tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.