ye kis ki aarzu dil-e-shorida-sar mein hai
ye kis kī aarzū dil-e-shorīda-sar meñ hai
duniyā ḳhayāl meñ hai na uqbā nazar meñ hai
dil ko hai un ke va.ada-e-fardā pe e'tibār
ab tak fareb-e-gardish-e-shām-o-sahar meñ hai
kyā kījiye shikāyat-e-hirmāñ ki ham-nafas
ik mauj-e-infi.āl kisī kī nazar meñ hai
rukte nahīñ haiñ pā-e-jihat-āshnā kahīñ
manzil bhī ek sang-e-nishāñ rahguzar meñ hai
unvāñ kahūñ ki 'rāz' use jān-e-dāstāñ
ik ashk-e-muztarib jo abhī chashm-e-tar meñ hai
ye kis ki aarzu dil-e-shorida-sar mein hai
duniya KHayal mein hai na uqba nazar mein hai
dil ko hai un ke wada-e-farda pe e'tibar
ab tak fareb-e-gardish-e-sham-o-sahar mein hai
kya kijiye shikayat-e-hirman ki ham-nafas
ek mauj-e-infial kisi ki nazar mein hai
rukte nahin hain pa-e-jihat-ashna kahin
manzil bhi ek sang-e-nishan rahguzar mein hai
unwan kahun ki 'raaz' use jaan-e-dastan
ek ashk-e-muztarib jo abhi chashm-e-tar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.