Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye kis ne bagh se us shaKHs ko bula liya hai

Tahzeeb Hafi

ye kis ne bagh se us shaKHs ko bula liya hai

Tahzeeb Hafi

MORE BYTahzeeb Hafi

    ye kis ne baaġh se us shaḳhs ko bulā liyā hai

    parind uḌ ga.e peḌoñ ne muñh banā liyā hai

    use patā thā maiñ chhūne meñ vaqt letā huuñ

    so us ne vasl daurāniya baḌhā liyā hai

    ye raat naam nahīñ le rahī thī kaTne

    charāġh joḌ ke logoñ ne din banā liyā hai

    daraḳht chhāoñ se haT kar bhī aur bahut kuchh hai

    ye kaisī chiiz thī aur ham ne kaam kyā liyā hai

    khurach rahā huuñ maiñ dīvār par likhe hue naam

    'ajīb tarh ik bebasī ne aa liyā hai

    ye kis ne bagh se us shaKHs ko bula liya hai

    parind uD gae peDon ne munh bana liya hai

    use pata tha main chhune mein waqt leta hun

    so us ne wasl ka dauraniya baDha liya hai

    ye raat nam nahin le rahi thi kaTne ka

    charagh joD ke logon ne din bana liya hai

    daraKHt chhaon se haT kar bhi aur bahut kuchh hai

    ye kaisi chiz thi aur hum ne kaam kya liya hai

    khurach raha hun main diwar par likhe hue nam

    'ajib tarh ki ek bebasi ne aa liya hai

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now