ye kis se aaj barham ho gai hai
ye kis se aaj barham ho ga.ī hai
ki zulf-e-yār pur-ḳham ho ga.ī hai
Tapak paḌte haiñ vaqt-e-sub.h aañsū
ye aadat misl-e-shabnam ho ga.ī hai
ba-zāhir garm hai bāzār-e-ulfat
magar jins-e-vafā kam ho ga.ī hai
zahe tāsīr-e-kū-e-ḳhāk-e-jānāñ
mire zaḳhmoñ pe marham ho ga.ī hai
bas ai dast-e-ajal kuchh rahm bhī kar
ki duniyā bazm-e-mātam ho ga.ī hai
nahīñ ḳhauf-e-shab-e-hijrāñ mujhe ab
mirī ġham-ḳhvār o hamdam ho ga.ī hai
yahī hālat hai ik muddat se 'mahrūm'
tabī.at ḳhūgar-e-ġham ho ga.ī hai
ye kis se aaj barham ho gai hai
ki zulf-e-yar pur-KHam ho gai hai
Tapak paDte hain waqt-e-subh aansu
ye aadat misl-e-shabnam ho gai hai
ba-zahir garm hai bazar-e-ulfat
magar jins-e-wafa kam ho gai hai
zahe tasir-e-ku-e-KHak-e-jaanan
mere zaKHmon pe marham ho gai hai
bas ai dast-e-ajal kuchh rahm bhi kar
ki duniya bazm-e-matam ho gai hai
nahin KHauf-e-shab-e-hijran mujhe ab
meri gham-KHwar o hamdam ho gai hai
yahi haalat hai ek muddat se 'mahrum'
tabiat KHugar-e-gham ho gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.