ye kisi jism ki udasi hai
ye kisī jism kī udāsī hai
jo musalsal mujhe bulātī hai
manzileñ Thiik hai alag hoñgī
baat to yaar rāste kī hai
rote rote kisī sahāre ko
piiTh dīvār se lagā lī hai
niiñd bhī aa chukī hai āñkhoñ tak
raat bhī ḳhatm hone vaalī hai
zindagī ne bahut ujāḌā mujhe
maiñ ne tab zindagī ujāḌī hai
ye kisi jism ki udasi hai
jo musalsal mujhe bulati hai
manzilen Thik hai alag hongi
baat to yar raste ki hai
rote rote kisi sahaare ko
piTh diwar se laga li hai
nind bhi aa chuki hai aankhon tak
raat bhi KHatm hone wali hai
zindagi ne bahut ujaDa mujhe
main ne tab zindagi ujaDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.