ye kya ki pahle qarib hona bana ke chalna hai fasla phir
ye kya ki pahle qarib hona bana ke chalna hai fasla phir
Murlidhar Sharma Talib
MORE BYMurlidhar Sharma Talib
ye kyā ki pahle qarīb honā banā ke chalnā hai fāsla phir
ki dasht-e-qurbat meñ ḳhud hī khonā talāsh karnā hai rāstā phir
safar huā thā jahāñ se jaarī usī jagah par hai lauTnā phir
qadam qadam hādsoñ se laḌnā na ham se hogā ye hausla phir
use udāsī meñ yaad karnā ki yaad kar ke udaas honā
ye pūchh ham se hai kitnā mushkil bikharnā aur ḳhud ko joḌnā phir
ho āj-kal tum nahīñ rahoge koī to legā jagah tumhārī
jahāñ thamā thā vahīñ se lekin shurūa hogā ye silsila phir
nazar jo aa.e vo sach nahīñ hai nazar ko kyuuñ kar nazar bhī aa.e
ki gard chehre se mat haTāo lo toḌ Daalo ye aa.ina phir
hameñ jazīre pe jab utārā to is safīne pe naaz kyuuñ ho
ki bahr-e-hastī kā hai ye hāsil to is se behtar thā Dūbnā phir
koī yahāñ muskurā rahā hai kisī ke aañsū chhalak rahe haiñ
sunā hai maiñ ne mushā.ere meñ huā hai 'tālib' ġhazal-sarā phir
ye kya ki pahle qarib hona bana ke chalna hai fasla phir
ki dasht-e-qurbat mein KHud hi khona talash karna hai rasta phir
safar hua tha jahan se jari usi jagah par hai lauTna phir
qadam qadam hadson se laDna na hum se hoga ye hausla phir
use udasi mein yaad karna ki yaad kar ke udas hona
ye puchh hum se hai kitna mushkil bikharna aur KHud ko joDna phir
ho aaj-kal tum nahin rahoge koi to lega jagah tumhaari
jahan thama tha wahin se lekin shurua hoga ye silsila phir
nazar jo aae wo sach nahin hai nazar ko kyun kar nazar bhi aae
ki gard chehre se mat haTao lo toD Dalo ye aaina phir
hamein jazire pe jab utara to is safine pe naz kyun ho
ki bahr-e-hasti ka hai ye hasil to is se behtar tha Dubna phir
koi yahan muskura raha hai kisi ke aansu chhalak rahe hain
suna hai main ne mushaere mein hua hai 'talib' ghazal-sara phir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.