ye kya hua tumhein lafzon se mat khane lage
ye kyā huā tumheñ lafzoñ se maat khāne lage
savāl ham ne kiyā aur nazar jhukāne lage
safar meñ hausla darkār hai har ik sūrat
ye kyā ki chār-qadam par hī Dagmagāne lage
abhī to ghar mirā puurī tarah jalā bhī nahīñ
jo haath señk rahe the vo uTh ke jaane lage
jab un se fāsla ham ne baḌhāyā to ye huā
vo duur hote hue bhī qarīb aane lage
abhī to un se shanāsā.ī bhī nahīñ merī
abhī se log idhar kī udhar uḌāne lage
ye kya hua tumhein lafzon se mat khane lage
sawal hum ne kiya aur nazar jhukane lage
safar mein hausla darkar hai har ek surat
ye kya ki chaar-qadam par hi Dagmagane lage
abhi to ghar mera puri tarah jala bhi nahin
jo hath senk rahe the wo uTh ke jaane lage
jab un se fasla hum ne baDhaya to ye hua
wo dur hote hue bhi qarib aane lage
abhi to un se shanasai bhi nahin meri
abhi se log idhar ki udhar uDane lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.