ye kya ki phul bano ek hi ke sath raho
ye kyā ki phuul bano ek hī ke saath raho
mahak kī tarh jiyo aur sabhī ke saath raho
lahū pilānā paḌegā tumheñ zarūrat par
ye hausla hai to phir raushnī ke saath raho
agar shu'ūr na ho pyaas bujh nahīñ saktī
tamām 'umr bhale hī nadī ke saath raho
ye zindagī bhī 'ajab imtihān letī hai
jise mizāj na chāhe usī ke saath raho
ye kya ki phul bano ek hi ke sath raho
mahak ki tarh jiyo aur sabhi ke sath raho
lahu pilana paDega tumhein zarurat par
ye hausla hai to phir raushni ke sath raho
agar shu'ur na ho pyas bujh nahin sakti
tamam 'umr bhale hi nadi ke sath raho
ye zindagi bhi 'ajab imtihan leti hai
jise mizaj na chahe usi ke sath raho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.