ye kya ki sab se bayan dil ki haalaten karni
ye kyā ki sab se bayāñ dil kī hālateñ karnī
'farāz' tujh ko na aa.iiñ mohabbateñ karnī
ye qurb kyā hai ki tū sāmne hai aur hameñ
shumār abhī se judā.ī kī sā.ateñ karnī
koī ḳhudā ho ki patthar jise bhī ham chāheñ
tamām umr usī kī ibādateñ karnī
sab apne apne qarīne se muntazir us ke
kisī ko shukr kisī ko shikāyateñ karnī
ham apne dil se hī majbūr aur logoñ ko
zarā sī baat pe barpā qayāmateñ karnī
mileñ jab un se to mub.ham sī guftugū karnā
phir apne aap se sau sau vazāhateñ karnī
ye log kaise magar dushmanī nibāhte haiñ
hameñ to raas na aa.iiñ mohabbateñ karnī
kabhī 'farāz' na.e mausamoñ meñ ro denā
kabhī talāsh purānī rifāqateñ karnī
ye kya ki sab se bayan dil ki haalaten karni
'faraaz' tujh ko na aain mohabbaten karni
ye qurb kya hai ki tu samne hai aur hamein
shumar abhi se judai ki saaten karni
koi KHuda ho ki patthar jise bhi hum chahen
tamam umr usi ki ibaadaten karni
sab apne apne qarine se muntazir us ke
kisi ko shukr kisi ko shikayaten karni
hum apne dil se hi majbur aur logon ko
zara si baat pe barpa qayamaten karni
milen jab un se to mubham si guftugu karna
phir apne aap se sau sau wazahaten karni
ye log kaise magar dushmani nibahte hain
hamein to ras na aain mohabbaten karni
kabhi 'faraaz' nae mausamon mein ro dena
kabhi talash purani rifaqaten karni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.