Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye kya ki tere hote bhi koi udas ho

Mohsin Ahmed

ye kya ki tere hote bhi koi udas ho

Mohsin Ahmed

MORE BYMohsin Ahmed

    ye kyā ki tere hote bhī koī udaas ho

    jaise koī ri.āyatī number se paas ho

    ye kyā ki harf-harf se Tapke havas raal

    ye kyā ki sher-sher meñ jismoñ baas ho

    ye kyā ġhilāf-e-zar se ka.aba lapeT de

    ye kyā vajūd-e-ishq pe bār-e-libās ho

    ye kyā ki ishq ho to phir is meñ na ho firāq

    phal ho to phir zarūrī hai us meñ miThās ho

    ye kyā ki mol bhī lage anmol bhī kaho

    qīmat agarche laakh ho sau pachās ho

    ye kyā ki ġhāzī aur shahīd ek naam leñ

    ye kyā ḳhudā ke naam pe ḳhauf-o-hirās ho

    ye kyā kisī ke vāste mela lagā rahe

    ye kyā usī ke naam pe jiine aas ho

    socho vajūd-e-lā se vo bhaTke yahāñ vahāñ

    socho agar ḳhudā ko bhī tanhā.ī raas ho

    ye kya ki tere hote bhi koi udas ho

    jaise koi riayati number se pas ho

    ye kya ki harf-harf se Tapke hawas ki ral

    ye kya ki sher-sher mein jismon ki bas ho

    ye kya ghilaf-e-zar se tu kaba lapeT de

    ye kya wajud-e-ishq pe bar-e-libas ho

    ye kya ki ishq ho to phir is mein na ho firaq

    phal ho to phir zaruri hai us mein miThas ho

    ye kya ki mol bhi lage anmol bhi kaho

    qimat agarche lakh ho ya sau pachas ho

    ye kya ki ghazi aur shahid ek nam len

    ye kya KHuda ke nam pe KHauf-o-hiras ho

    ye kya kisi ke waste mela laga rahe

    ye kya usi ke nam pe jine ki aas ho

    socho wajud-e-la se wo bhaTke yahan wahan

    socho agar KHuda ko bhi tanhai ras ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now