ye kya paDi hai tujhe dil jalon mein baiThne ki
ye kyā paḌī hai tujhe dil jaloñ meñ baiThne kī
ye umr to hai miyāñ dostoñ meñ baiThne kī
chhupā.ī jaatī nahīñ zardiyāñ so duur huuñ maiñ
vagarna hotī hai ḳhvāhish guloñ meñ baiThne kī
shumār merā bhī karte haiñ log in meñ magar
mirī majāl kahāñ shā.iroñ meñ baiThne kī
abhī na uñglī uThā mujh pe thoḌī mohlat de
tamīz siikh rahā huuñ baḌoñ meñ baiThne kī
mujhe badal ke koī aur hī banā diyā hai
ki intihā hai ye sūrat-garoñ meñ baiThne kī
dikhā rahe haiñ tavātur se ḳhāmiyāñ merī
bhagat rahā huuñ sazā ā.inoñ meñ baiThne kī
nahīñ majāl kisī kī ki muntashir kar de
banā chuke haiñ jo aadat safoñ meñ baiThne kī
ḳhazāne luTte raheñge ye ḳhālī hone tak
ujaaḌ degī ye aadat gharoñ meñ baiThne kī
ḳhudā atā kare ohda baḌā ġharīb ko aur
badal sake na vo ḳhū naukaroñ meñ baiThne kī
ḳhushāmadī nahīñ rakhtā hai apne kaam se kaam
to kyā paḌī hai tujhe afsaroñ meñ baiThne kī
ye dil scan karānā bahut zarūrī hai
ki ittilā.a hai tire dhaḌkanoñ meñ baiThne kī
hayāt sū-e-adam le ke jā rahī haiñ 'umar'
jo ādateñ haiñ ga.e mausamoñ meñ baiThne kī
ye kya paDi hai tujhe dil jalon mein baiThne ki
ye umr to hai miyan doston mein baiThne ki
chhupai jati nahin zardiyan so dur hun main
wagarna hoti hai KHwahish gulon mein baiThne ki
shumar mera bhi karte hain log in mein magar
meri majal kahan shairon mein baiThne ki
abhi na ungli uTha mujh pe thoDi mohlat de
tamiz sikh raha hun baDon mein baiThne ki
mujhe badal ke koi aur hi bana diya hai
ki intiha hai ye surat-garon mein baiThne ki
dikha rahe hain tawatur se KHamiyan meri
bhagat raha hun saza aainon mein baiThne ki
nahin majal kisi ki ki muntashir kar de
bana chuke hain jo aadat safon mein baiThne ki
KHazane luTte rahenge ye KHali hone tak
ujaD degi ye aadat gharon mein baiThne ki
KHuda ata kare ohda baDa gharib ko aur
badal sake na wo KHu naukaron mein baiThne ki
KHushamadi nahin rakhta hai apne kaam se kaam
to kya paDi hai tujhe afsaron mein baiThne ki
ye dil scan karana bahut zaruri hai
ki ittilaa hai tere dhaDkanon mein baiThne ki
hayat su-e-adam le ke ja rahi hain 'umar'
jo aadaten hain gae mausamon mein baiThne ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.